All NewsBreaking NewsMumbai
BMC Water Cut – Poore Mumbai Me 5 -10 Percent Water Cut Rahega 2 Din, Aaj 17 Aur Kal 18 October

BMC Water Cut – Poore Mumbai Me 5 -10 Percent Water Cut Rahega 2 Din, Aaj 17 Aur Kal 18 October
BMC ne beeti raat bataya ke Thane District ke Tarali me Vaitarna pipeline system ka 900 mm valve breakdown hogaya hai jiska repair work kiya jaana hai.
View this post on Instagram
Iss repair work ke liye system partial shutdown karna hoga aur iss kaam ko lagbhag 48 ghante lag sakte hain.
Iss repair work ke chalte poore Mumbai city me aaj aur kal, yani ke 17 aur 18 October 2024 ko water supply me 5 se 10 percent ki katoti hogi.
Logon se request hai ke zaroorat ke mutabiq paani store karen aur paani sambhal kar use karen.



