Aaditya Thackeray ne Mumbai Mayor Ritu Tawde par Bangladesh issue par focus karne ko lekar nishana sadhte hue BJP se national security par sawal uthaye.

Aaditya Thackeray ne Mumbai Mayor Ritu Tawde par Bangladesh issue par focus karne ko lekar nishana sadhte hue BJP se national security par sawal uthaye.
Aaditya Thackeray ne Mumbai ki nayi Mayor Ritu Tawde par teekha hamla bola hai. Unhone aarop lagaya ki Mayor shehar ke asli civic issues ko chhodkar illegal Bangladeshi immigrants ke mudde par zyada dhyaan de rahi hain. Is bayan ke baad siyasi mahaul garam ho gaya hai.
Aaditya Thackeray ne social media platform X par likha ki Mayor ka “poora wajood ab Bangladesh par hi tik gaya hai,” jabki Mumbai me khadde wali sadkein, kachre ka dhang se na uthna, tootey footpaths, builder encroachments aur pollution jaise gambhir mudde jyon ke tyon bane hue hain.
Unhone BJP par bhi sawal uthate hue pucha ki agar ghuspaith hui hai to alleged infiltrators desh me kaise aaye aur kai BJP-shasit rajyon se hote hue Mumbai tak kaise pahunch gaye? Thackeray ne ise “national security failure” bataya aur Kendriya sarkar par aarop lagaya ki woh infiltration aur deportation me apni nakami chhupa rahi hai.



