Andheri Aur Versova Mein 11 Ghante No Water
Andheri Aur Versova Ke Residents Ke Liye! Aaj, Thursday, June 19, Ko Dopahar 2 Baje Se Lekar Friday, June 20, Tak Raat 1 Baje Tak, Pura 11 Ghante Paani Ki Supply Band Rahegi In Parts Of K-West Ward.
View this post on Instagram
BMC Ko Do Bade Pipelines Pe Kaam Karna Hai. Ek Hai 1,350 Mm Ka Flow Control Valve Jo Bandra Pipeline Pe, Gopal Krishna Gokhale Bridge Ke Neeche Hai, Aur Doosra Hai 900 Mm Ka Butterfly Valve Versova Pipeline Pe.
Is Wajah Se Vile Parle (West) Ke Areas Jaise Lallubhai Udyan, Lohia Nagar, Parle Gaothan, Milan Subway, JVPD Scheme, Aur Juhu Gaothan, Plus Andheri (West) Ke Gilbert Hill, Juhu Gully, Dhangarwadi, Aur Sagar City Society Mein Paani Nahi Aayega.



