BMC Ne Clean Up Marshal Service Kahatm Karne Ka Ailan Kiya, Logon Ki Badhti Complaint Ke Baad Liya Faisla
View this post on Instagram
BMC Ne Swachh Mumbai Abhiyan Ke Antargat Sabhi 24 Wards Me Clean Up Marshal Tainat Kiya Tha Jise Logon Ki Badhti Complaint Ke Baad Ab 4 April Se Bandh Karne Ka Ailan Kiya Hai.
BMC Commissioner & Administrator Bhushan Gagrani Ne Clean Up Marshal Services Ke Representatives Aur Concerned Agencies Ko 4 April Se Services Discontinue Karne Ka Order Diya Hai.
BMC Ne Logon Ko Iss Baare Me Aware Karte Hue Bataya Ke Agar 4 April Ke Baad Koi Clean Marshal Agar Logon Se Fine Vasoolta Hai Toh Log Uss Area Ke BMC Ward Office Ke Concerned Person Se Shikayat Kar Sakte Hain.
BMC, CleanUpMarshal, SwachhMumbaiAbhiyan, MumbaiNews, BMCCommissioner, BhushanGagrani, FineCollection, CivicIssues, MumbaiUpdates, Mumbaikars, PublicAlert, CitizenRights, WardOffice, MunicipalCorporation, BreakingNews, MaharashtraNews, UrbanDevelopment, CleanCity, TrendingNow