All NewsBreaking NewsMumbai
Cyclone Montha Ka Karnataka Pe Bada Asar – 65 Trains Cancel, Andhra Pradesh Aur Bengaluru Mein Flights affected, Heavy Rain Alert!

Cyclone Montha Ka Karnataka Pe Bada Asar – 65 Trains Cancel, Andhra Pradesh Aur Bengaluru Mein Flights affected, Heavy Rain Alert!
View this post on Instagram
Bay of Bengal mein bana bhayanak andhi toofan, Montha ab Karnataka aur Andhra Pradesh ka Rukh Le raha hai!
IMD ke mutabik, yeh cyclone aaj raat Kakinada coast pe landfall karega, jahaan 100 kmph ki tezi se hawa chalegi.
Is wajah se Karnataka mein 65 se zyada trains cancel ho gayi hain, aur Bengaluru, Visakhapatnam, Vijayawada jaise airports pe flights mein delay aur cancellations chal rahe hain.
yeh toofan heavy rain aur strong winds la raha hai, jisse coastal aur south interior districts mein yellow alert jari hai.
Saath hi, Arabian Sea mein ek alag low-pressure system bhi ban raha hai, jo Mumbai aur Mangalore ke paas west coast pe aur barish la sakta hai.



