FASTag Nahi Use Karne Walon Se Double Toll Vasoolna Shuru Kiya 1 April Se, Maharashtra Me Toll Nake Par Dikha Asar
Maharashtra State Road Development Corporation (MSRDC) Ne 1 April Se Poore Rajya Me Sabhi Vehicles Walon Ko FASTag Lagana Mandatory Kiya Hua Hai.
View this post on Instagram
Sath Hi Bataya Tha Ke 1 April Se FASTag Use Nahi Karne Wale Motor Vehicles Walon Se Toll Naka Par Double Toll Vasool Kiya Jayega. Iss Rule Ke Chalte Rajya Ke Toll Naka Par Karwai Shuru Kardi Gayi Hai.
Mumbai Ki Baat Karen Toh Mumbai Ke Bandra-Worli Sealink Ke Toll Naka Par Gaadiyon Ka Crowd Dikha Jisme Bina FASTag Wali Vehicles Se Double Toll Vasoola Gaya.