Girgaum chowpaty ke ek hissa public ke liye bandh kiya gaya coastal road construction work ke liye
South Mumbai ka famous public place Girgaum chowpaty ka ek hissa public ke liye bandh kiya gaya hai
Gallinews Short News Press Link
Officials ne bataya ke Girgaum Chowpaty par bane viewing gallery paltform ke pass wala hissa logon ke liye bandh kiya gaya hai kyonke wahan coastal road construction project work ko lekar yeh faisla liya gaya hai aur khabron ke anusar beach ka yeh portion aane wale 7 month tak bandh rahega
Mumbai Coastal Road Project (MCRP) ke tehat Nariman Point se Bandra-Worli Sea Link tak jaane wala 10.58-km lamba coastal road ka kaam tezi se horaha hai hai aur report ke anusar 65% work complete ho chuka hai
Iss project ke chalte Girgaon Chowpatty aur Priyadarshini Park ke darmiyan 2.07-km lambi underground twin tunnels banane ka kaam kiya jaaraha hai yeh tunnels beach ke neeche se hokar guzregi