Gold Smuggling – ₹2.1 Crore Ka Gold Flight Ke Lavatory Me Chupakar Laaraha Tha, 1 Arrested At Mumbai Airport By AIU
View this post on Instagram
Mumbai Chhatrapati Shivaji Maharaj International Airport Par Maldives Se Aaye Passenger Ko Air Intelligence Unit (AIU) Ke Customs Officials Ne Pakda.
Pakde Gaye Shaks Ka Naam Inaamul Hassan (24yrs) Bataya Jaa Raha Hai Jo Karnataka Ka Rehne Wala Hai Jisne Allegedly Flight Me Lavatory Ke Light Ke Pannel Me Gold Chupa Kar Rakha Tha.
AIU Officials Ke Chanbeen Karne Par Lavatory Se Gold Ke 13 Pouches Baramad Hue Jiski Value ₹2.1 Crore Batayi Jaarahi Hai.
Khabron Ke Anusar Pakde Gaye Shaks Se AIU Ke Poochtach Me Ussne Qabool Kiya Ke Ussne Hi Gold Flight Ke Lavatory Me Chupakar Rakha Tha.
Iss Gold Smuggling Racket Me Aur Bhi Log Shamil Hone Ki Sambhavana Hai Jo Flight Se Gold Bahar Pohanchane Ka Kaam Karte Honge, Investigation Jaari Hai.
goldSmuggling, mumbaiAirport, aiuArrest, goldSeized, customsOfficials, airportSecurity, smugglingCase, goldInLavatory, karnatakaResident, internationalFlight, illegalActivities, lavatoryHiding, airTravelSecurity, goldTrafficking, indianCustoms, crimeNews, breakingNews, airportSmuggling, goldPouches, customsInvestigation, mumbaiNews, maldivesToIndia.