Hajj Se Pehle Saudi Arab Ne India Sahit 14 Countries Ke Liye Visa Ban Kiya, Kya Hai Mamla? Poori Khabar Dekhiye
Iss Saal June Month Me Hone Wale Hajj Ko Dhyan Me Rakhte Hue Saudi Arab Hukumat Ne India Ke Sath 14 Countries Ke Liye Umrah, Visit, Business Visa Ko Bandh Karne Ka Ailan Kiya Hai.
View this post on Instagram
Contents
14 Countries Me India Ke Sath Pakistan, Bangladesh, Algeria, Egypt, Ethiopia, Indonesia, Iraq, Jordan, Morocco, Nigeria, Sudan, Tunisia Aur Yemen Bhi Shamil Hain.
Saudi Hukumat Ne Yeh Faisla Hajj Ke Liye Aaye Hajiyon Ki Safety Aur Security Ke Liye Liya Hai Jisse Illegal Bina Registration Ke Hajj Karne Aaye Logon Par Qaboo Paaya Ja Sake.
Bataya Jaa Raha Hai Ke 13 April Ke Baad Se Umrah Ke Liye Visa Issue Karna Bandh Kiya Jaayega Aur Phir Hajj Ke Baad Visa Issue Karna Shuru Hoga.