Halal Certification Par Ban Lagaya Jaaye, Hindu Janajagruti Samiti Ne DCM Eknath Shinde Se Ki Maang
Maharashtra Me Halal Certificate Dene Par Ban Lagaya Jaaye Ki Maang Ke Sath Hindu Janajagruti Samiti Ne Deputy CM Eknath Shinde Se Mulaqat Kiya Aur Letter Diya.
View this post on Instagram
Contents
Hindu Janajagruti Samiti Ne Apne Letter Me Likha Ke Uttar Pradesh Ki Tarah Maharashtra Me Bhi Halal Certificate Dene Par Pabandi Lagayi Jaaye.
Darasal, Uttar Pradesh Me Halal Certified Food Items Ke Production, Storage, Distribution Aur Sale Par Ban Lagaya Gaya Hai. Same Aisa Hi Rule Maharashtra Me Bhi Lagu Kiya Jaaye Ki Maang Kiya Hai Hindu Janajagruti Samiti Ne.
DCM Eknath Shinde Ne Iss Meeting Ke Baad Senior Officials Ko Nirdesh Diya Hai Ke Halal Certified Products Ko Ban Karne Ke Liye Proposal Submit Kare.