Hi Garmi – 100 Se Zayada Bachchon Heatwave Se Hue Bimar At Bihar, Aaj Se 8 June Tak School Ki Chutti Declare Kiya Sarkar Ne
Bihar Me Temperature 45° Ke Qareeb Pohanch Gaya Aur Log Iss Garmi Se Beemar Hone Lage Jisme School Students Aur Teachers Bhi Shamil Hain
View this post on Instagram
Bihar Me Summer Vacation Khatam Hone Ke Baad 16 May Se Schools Open Hogaye They Lekin Iss Badhti Garmi Ko Dekhte Hue Aur 100 Se Zyada School Students Ko Heatwave Se Behosh Hote Dekh Bihar Sarkar Ne Aaj 30 May Se 8 June Tak Sabhi Schools Ko Phir Se Chutti De Di Hai
Mili Jankari Ke Mutabiq Motihari, Siwan, Sheohar, Patna, Aurangabad, Begusarai, Munger, Jamui, Banka Me Heat Wave Se School Students Aur Kuch Jaghaa Teachers Ki Bhi Tabiyat Bigadne Ki Khabar Milne Ke Baad Aaj Se 8 June Tak School Bandh Rakhne Ka Faisla Liya Gaya