Lawyer ko 6 Month Jail ki saza sunaya Allahabad High Court ki Lucknow Bench ne, contempt of Court mamla
View this post on Instagram
Uttar Pardesh ki rajdhani Lucknow me Allahabad High Court ki Lucknow Bench ne ek local vakil ko Adalat ki tauheen karne ke mamle me 6 Month jail ki saza aur Rs 2000 jurmana sunaya
Mamla 2021 ka hai aur Vakil ka naam Ashok Pamdey bataya jaaraha hai, contempt of Court ke iss mamla me Vakil saheb proper Vakil ke dress me judge saheb ke saamne nahi gaye they shirt ka button bhi khula tha aur Judge se bad tameezi karte hue kuch ap-shabd bhi keh diya tha vakil ne
Allahabad High Court ki Lucknow Bench ke Justice Vivek Chaudhary aur Justice B R Singh ki bench ne vakil ko 4 week ka time diya hai court me surrender hone ke liye aur Rs 2000 jurmana jama karne ke liye agar Jurmana nahi bhar sake toh 1 Month ki jail ki saza aur badha di jayegi
Allahabad High Court, Lucknow Bench, Contempt of Court, Lawyer News, Court Order, Vakil News, Justice Vivek Chaudhary, Uttar Pradesh News, Indian Law, High Court Updates, Legal News, Court Punishment, Vakil Ka Apshabd, Law and Order, Latest News India