All NewsBreaking NewsMumbai
Mumbai Me Shivsena (Shinde Group) Aur BJP Ki Pehli Meeting, Kya Seat Sharing Par Baneghi Sahmati?

Mumbai Me Shivsena (Shinde Group) Aur BJP Ki Pehli Meeting, Kya Seat Sharing Par Baneghi Sahmati?
Mumbai me hone wale (BMC) elections ko lekar Maharashtra ki politics me tezi aa gayi hai. 15 January ko elections hone ja rahe hain aur announcement ke turant baad BJP ne apne Mahayuti allies ke saath talks shuru kar di hain.
BJP apne main allies Shivsena (Eknath Shinde group) aur Ramdas Athawale ki Republican Party of India (RPI) ke saath seat sharing aur election strategy par discussion karegi.
Yeh saari meetings Dadar ke Vasant Hall me hone wali hain. BJP ki taraf se Amit Satam, Atul Bhatkhalkar, Pravin Darekar aur Ashish Shelar meeting me shamil honge.
Wahin Shivsena ka representation Uday Samant, Ravindra Waikar, Prakash Surve aur Rahul Shewale karenge.



