Mumbai Police Ne Vote Kiya, 85 Plus, Bedridden Citizens, Election Duty Officers Ne Bhi Postal Voting Kiya
View this post on Instagram
Maharashtra Me Hone Wale Assembly Election Ki Tyaari Zoron Par Hai, Aur 4 Din Baad Polling Hogi. Poore Rajye Mein Single Phase Mein Voting Ho Rahi Hai.
Election Duty Par Tainat Officers, Workers, Police Personnel Aur Bedridden Citizens Ke Saath Aise 85 Plus Old Citizens, Jinhone Home Voting Ke Liye Apply Kiya Tha, Unhein Voting Ka Mauka Diya Ja Raha Hai. Mumbai Mein Bhi Yeh Process Chalu Hai.
Mumbai Traffic Police Ne Video Share Karte Hue Yeh Baat Jankari Di Aur Bataya Ke Mumbai Police Apna Voting Haq Ada Karke Voting Ke Din Apni Duty Karne Ke Liye Tyaar Hai.
Postal Voting Ballot Paper Par Hoti Hai, Jise Counting Ke Din Sabse Pehle Ginna Jaata Hai, Baad Mein EVM Ke Votes Ki Ginti Hoti Hai.
Maharashtra Mein 20 November Ko Voting Ho Rahi Hai Aur 23 November Ko Counting Ki Jayegi.