Namaz Ghar main padhen Khule main namaz padhna sehan nahi kiya jayega says haryana CM
Haryana Gurugram ke sector 37 main open space main namaz padhne ko lekar Friday ko Hindu sanghtano ne ek baar phir virodh kiya dusri taraf Haryana ke CM Manohar Lal Khattar ne iss baare main kaha khule main namaz padhna sahen nahi kiya jayega
Ek Minute Mai Khabar ke liye.Press link for Shorts Video News
CM Manohar Lal Khattar ne kaha ke koi agar apni jagha par namaz padhta hai paath padhta hai usme koi dikkat nahi hai lekin khule main aise koi karyakarm nahi hona chaiye khule main namaz padhne ki jo rasm yahan chali hai yeh katai sehan (Bardasht) nahi ki jayegi
CM Manohar Lal Khattar ne yeh bhi kaha ke khule main namaz padhkar aapsi takrao nahi hona chaiye iss silsile main kuch saal pehle aapas main baithkar kuch faisla liya bhi gaya tha jiske tehet kuch particular open space par namaz padhna allow kiya gaya tha
Lekin ab naye sire se saari baatcheet karke sabko sabko maouka mile kisi ke haq main dakhal andazi na ho aisa kuch work out kiya jayega
CM ne kaha unhon ne (Muslim Sanghatan) ne kaha hai ke humare pass bhi bahut si zameen hai jahan hume allow kiya jaye kuch zameen aisi hai ke jo unki (Muslims) hogi ya waqf ki hogi woh kaise unko di jaye ispar baat hogi
Jo jagha ibadat ke liye bani hain uss jagha par ibadat karne main hume koi problem nahi hai lekin open space main ibadat na karen apne ghar par namaz padhen