All NewsBreaking NewsFilmy GalliMumbai

Nana Patekar Fan Tapli Mamla Me Fan Ka Bayan Aaya Saamne, Kaha Mujhe Nana Ne Maara

Nana Patekar Fan Tapli Mamla Me Fan Ka Bayan Aaya Saamne, Kaha Mujhe Nana Ne Maara

Bollywood ke diggaj Kalakaron me Nana Patekar ka shumar hota hai, Nana Patekar filhal Anil Sharma ki film Journey ki Shooting ke liye Varanasi gaye hue hain

GALLINEWS SHORTS PRESS LINK 


Varanasi me shooting ke dauran ek fan ne Nana patekar se selfie lena chaha jise Nana ne Tapli maarke bhaga diya tha, Tapli wala video viral hone par Nana Patekar ne online aakar maafi bhi manga

Iss Mamle ko lekar ab Nana Patekar ka Fan jiska naam Raj Sonkar hai ka statement saamne aaya hai jiska kehne hai ke main koi shooting ka hissa nahi tha, main toh Ganga Snan karne Ghat par gaya tha aur shooting hote dekh rukk gaya tha

Main Nana patekar ka fan hoon woh bahut bade kalakaar hain issliye main apne aap ko control nahi kar paaya aur Selfie lene pohanch gaya

Nana Patekar ne mujhe maara aur unke security wale ne buri tarha mera haath pakad kar wahan se hata diya

Raju Sonkar ne yeh bhi kaha ke iss haads ke baad main wahan se chala gaya tha mujhe kisi bhi shooting wale ne na hi roka aur na hi wapas bulaya

Fan Raj Sonkar ne yeh bhi kaha ke yeh iss hadse ka video viral hone ke baad mere mohalle me jahan main tehta hoon meri khub be izzati hui bahut apman jhelna pada

Nana Pagekar ke Tapli maarne par koi karwai karenge kiya pooche jaane par Raju Sonkar ne kaha ke mian Nana Patekar ko pasand karta hoon unpar koi karwai karoon aisi meri koi iccha nahi hai

Related Articles

Back to top button

Discover more from Gallinews India

Subscribe now to keep reading and get access to the full archive.

Continue reading