Netanyahu ka bayan: “Mamdani anpadh hain, aur main New York me giraftari se nahi darta”.

Netanyahu ka bayan: “Mamdani anpadh hain, aur main New York me giraftari se nahi darta”.
View this post on Instagram
Israel ke PM Benjamin Netanyahu ne ek interview me New York ke Assemblyman Zohran Mamdani par tanqeed karte hue kaha ki “Mamdani anpadh (uneducated) hain, aur main NYC me arrest hone se nahi darta.”
Yeh baat unhone Australian journalist Erin Molan ko diye gaye interview me kaha.
Netanyahu ne kaha ki “Mamdani ko ICC ke arrest warrant ka hawa banane ke bajaye “khud ko educate karne” par dhyan dena chahiye.
Mamdani ne pehle kaha tha ki agar woh Newyork mayor bane to ICC ke 2024 ke warrant ke mutabik Netanyahu ki koshish ki jayegi.
Netanyahu ne Mamdani ki economic policies ko bhi criticize kiya aur kaha ki “Mamdani socialism theory me acha lagta hai, lekin ground reality me fail hota hai.”
Unhone yeh bhi kaha ki antisemitism “societies ko tabah kar deta hai—yeh Jews se shuru hota hai aur phir Black, Hispanic aur LGBTQ communities tak phelta hai۔”
Batadein ki Nazi crimes aur Gaza war ke context me ICC ne 2024 me Netanyahu aur ex-Defence Minister Yoav Gallant ke khilaf war crimes ke warrant issue kiye the۔ Israel ne in allegations ko poori tarah reject kiya hai۔
Legal point yeh hai ki America ICC ka member nahi, isliye US me ICC warrant enforce karna mushkil hai.
Batadein ki Mamdani ka koi bhi step federal law rok sakta hai۔
Mamdani ne kaha tha: “Main law ki limits ke andar kaam karunga.”



