“Nitesh Rane ko MLA Raees Sheikh Padha rahe hain History – Chatrapati Shivaji Maharaj ke 10 Muslim Sardaron ki List ke Saath Evidence Bhi kiye Pesh!”
MLA Raees Sheikh Ne Nitesh Rane ko diya Chhatrapati Shivaji Maharaj ke Muslim sardaro ki list historical documents ke saboot ke saath.
MLA Rais Shaikh ne Nitesh rane ko bataya ki Chatrapati Shivaji Mahara ki koi bhi Jung religion based nahi thi.
Aap dekh rahe h Galli news.
Member of Maharashtra Assembly Nitish Rane aaye din koi n koi aapattijanak bayan dete rahte hain,
haal hi mein Nitish Rani ne bayan diya tha ki Chhatrapati Shivaji Maharaj ke pass Musalman sardar nahin the.
Is bayan ka bahut behtarin tarike se jawab dete hue MLA Raees Sheikh ne Chhatrapati Shivaji Maharaj ke 10 Muslim sardaron ki list Nitesh Rahane ko bheji Saath hi unhone Chhatrapati Shivaji Maharaj ki do kitabein bhi tohfe m di taki woh history ko behtarin tarike se padh sake.
yaad dila dein ki,” Sangmeshwar Ratnagiri m 13 March ko ek meeting ke dauran Nitish Rane n bayan diya tha ke Chatrapati Shivaji Maharaj ne kabhi bhi kisi Musalman sardar ko appoint nahin kiya tha aur unhone Jo Jung ki woh sab musalmanon ke khilaf thi.
is bayan ko dekhte hue MLA Raees Sheikh ne is mamle per information dete hue Nitesh Rane ko letter likha hai.
Aapko Bata dein MLA Raees n khat mein chhatrapati Shivaji Maharaj ke 10 Muslim sardaron ke naam bataye Hain.
Sayyedi Hilal aur unke bete Sayyedi Wahuwah jinho n PanhalGadh kile ka boundry karte waqt saath diya tha.
Ghudsawar foj k chief Noor Khan bag.
Sardar shama Khan ,
Ibrahim Khan
bodyguard Sayyedi Ibrahim,
Admiral Daulat Khan,
Trusted Servant Madari Mehtar
Aur
Advocate Kazi Haider.
Saath hi Raees Sheikh ne historical documents k kuchh aham saboot bhi bataien hain aur letter m likha h ki,”
Sant Tukaram aur Sant Ramdas ki tarah Shivaji Maharaj Ratnagiri ke Musalman Sant “Baba Yakut” ko bhi bohot maante the,
yehi nahi Shivaji Maharaj ki hukumat aur koi bhi jung religion based nahin thi unhone peer, dargah aur Masjid ko tohfa dene ki revayat ko jaari rakha tha ye sab Maharashtra ki history main mention hai.
Raees Sheikh n In sab baato ki detail aur historical connection khat mein mention kiye h.
Letter k saath MLA Raees Sheikh ne Nitesh Rane ko
Famous historian Jadhavnath Sarkar ki likhi Chhatrapati Shivaji:” Kaal aani kartutva”. Aur Govind pansari ki book Shivaji kaun tha? gift ki h.
Aur letter mein mention kiya ke Nitish Rane ko history padhani chahie taki wo history ko destroy karne wale bayan na dein kyu ki aisi bayan baazi s aapas mein darar badh sakti hai.”
Is report per aap apne comments hamein zarur kijiye aur more updates ke liye Galli news per bane rahiye.