All NewsBreaking NewsMumbai
Mumbai Airport Pe Shocking Wildlife Smuggling – Tourist Ke Bag Mein Chhupa Mila Silvery Gibbon

Mumbai Airport Pe Shocking Wildlife Smuggling – Tourist Ke Bag Mein Chhupa Mila Silvery Gibbon
View this post on Instagram
Mumbai ke Chhatrapati Shivaji Maharaj International Airport pe ek hairat-angez smuggling case pakda gaya!
Customs officials ne Bangkok se aaye ek foreign tourist ke bag se do silvery gibbons (ek prakaar ke langur) recover kiye – inmein se ek do mahine ka aur doosra chaar mahine ka tha.
Ek ki maut ho chuki thi, jabki doosra zinda tha, aur yeh dono ek tokri mein chhupaye gaye the
yeh tourist ko special intelligence ke basis pe roka gaya tha, aur ab uske khilaaf Wildlife Protection Act aur Customs Act ke under case darj ho gaya hai. Yeh silvery gibbon endangered species hai, jiski smuggling international crime maani jaati hai!



