Saudi Arab Me 18,000 Logon Ko Pakda Gaya, Illegals, Rule Violation Ka Mamla, 15 Saal Saza 2 Crore Fine Lagaya Jaa Sakta Hai
View this post on Instagram
Saudi Arab Hukumat Ne Hajj Se Pehle Poori Country Me Reh Rahe Illegal Logon Aur Rule Violation Karne Walon Logon Ko Dhoond Nikala Hai Jinki Taddad 18,407 Batayi Jaarahi Hai
Mili Jankari Ke Anusar Pakde Gaye Logon Me 12,995 Logon Ko Residency Laws Violation, 3,512 Logon Ko Illegal Border Crossing Aur 1,900 Logon Ko Labour Related Offences Me Aur Baaki Logon Ko Dusre Mamle Me Pakda Gaya Hai
Bataya Jaaraha Hai Ke Pakde Gaye Logon Me Aaadhe Se Zyada Ethiopian Aur Yemeni Hain, Sirf 6% Dusri Alag Alag Nationalities Ke Hain
Khabron Ke Anusar Pakde Gaye Logon Ko 15 Saal Ki Jail Aur SR 1 Million Jo Qareeb Rs2.3 Crore Hota Hai Jurmana Ho Sakta Hai Aur Jo Saudi Me Property Hogi Woh Bhi Siezed Kar Li Jayegi
saudiarab, illegalimmigrants, ruleviolation, residencylaws, bordersecurity, labourlaws, saudigovernment, hajj2025, saudicrackdown, ethiopian, yemeni, internationalnews, gulfcountries, immigrationlaw, newsalert, globalnews, arabworld