Shop walon ko mili rahat BMC ki Marathi Sign Board karwai par Supreme Court ki kuch din rok lagi
Mahrashtra me sarkar ne Shops & Establishment ke Sign board Marathi Font me lagane compulsory kiya tha jiske baad BMC ne bahut dino tak Shop walon ko maohlat dene ke baad karwai shuru kiya tha
Ek Minute mai Puri Khabar ke liye Gallinews Short Video Press Link
Federation of Retail Traders Welfare Association (FRTWA) ne BMC se aur mohlat mangi thi jiske liye Bombay High Court me Appeal kiya gaya tha jo reject hone ke baad Supreme court me mamla pesh kiya gaya
Supreme Court ne uss mamle ki sunwai karte hue fihal agli sunwai tak BMC ko karwai karne se mana kiya hai, Iss Mamle ki agli taarikh 18 December di gayi hai
BMC officers ne ab tak lagbhag 5 hazar shops ko Marathi Font me Signboard na lagane par Notice issue kar chuke hain