Study Tour pe aaye Pune ki Badi Dargah pe American university students
Indian Politics & Religion' pe apni study tour pe aaye America ki Santiago University ke 26 students
Pune ki Badi Dargah Hazrat Khwaja Sayyed Hissamuddin Kattal e Zanjani Chisti Ashrafi R.A ki mazaar pe kiya visit. Aur sajjadanashin Advocate Kazi Sayed Hafizuddin se puche Islam ke taalim se sawaal.
Students ne ye bhi janna chaha ki, "Allahu Akbar kehke, ISIS waale kisi ki jaan kyu lete hai"?
Jispe unhe jawaab diya ki, "Bismillah kehne se Sharaab halaal nahi hoti, thik usi tarah 'Allahu Akbar' kehne se kisi ki jaan lena jayaz nahi ho jata"
Sawaal – Jawaab ke baad, students ko world famous India ki Biryani ka swaad chakna tha. To mehman nawazgi bhi unki demand ke mutabik hi ki gayi.
Pune ke baad, yeh students Aurangabad me Badashah Aurangzeb ki mazaar aur Ajanta Elora caves bhi visit karenge.
Ummid karte hai ki jab ye mehmaan apne mulq laute, to hamare mulq ki achchi yaadgar inke saath ho.
(For More IMP News) like and follow us on
https://m.facebook.com/gallinews/
https://twitter.com/gallinews?s=08
https://www.youtube.com/user/gallinews