Ajmer Dargah pohche Gautam Adani aur unki family, badi aqeedat s pesh ki chadar.
Shahenshahe Hindustan Hazrat Khwaja Garib Nawaz Rehmtullah alaih ki bargah mein Badshah ho ya faqir sare hi badi hi aqeedat mandi se unke Darbar mein pahunchte hain.
Aise hi Aqeedat mandi k saath Gautam Adani aur unki family Ajmer Sharif dargah pahunchi aur mohabbat wa aqeedat k saath chadar pesh ki.
Ajmer Sharif ke chairman Chishti foundation ke Haji Syed Salman n Adani family ka welcome Kiya aur saath hi bataya ki Adani n pure Desh ki salamti k liye Khwaja Garib Nawaz Rehmatullah aleih ki bargah mein Dua mangi.
Aapko batadein Gautam Adani samet shrimati Priti aadani, Rajesh Adani aur Shailani Adani n bade purjosh andaaz m Ajmer dargah m hazri di.