ATM Se Paisa Nikalna Hoga Mehnga 1 May Se, RBI Ne ATM Interchange Fees Badhana Approved Kiya
Bank Ke Woh Customers Jo ATM Se Paisa Nikalte Hain Ke Liye Badi Khabar Saamne Aayi Hai. Bataya Jaa Raha Hai Ke 1 May 2025 Se ATM Se Paisa Nikalne Par Ab Pehle Se Zyada Charge Dena Hoga Logon Ko.
View this post on Instagram
Contents
Khabron Ke Anusar ATM Interchange Fees Badhane Ka Proposal Rakha Gaya Tha Jise Ab Reserve Bank Of India (RBI) Ne Approve Kar Diya Hai.
1 May Se Customers Ko Cash Withdrawal Fee Ke Liye Rs 19 Dene Honge Jo Pehle Rs 17 Per Transaction Tha. Sath Hi Balance Check Karne Ke Liye Pehle Rs 6 Per Transaction Fee Chikani Padti Thi Jo Ab Badhkar Rs 7 Per Transaction Ho Jayegi.
Apne Bank Ke Alawa Kisi Dusre Bank Ke ATM Se Di Gayi Free Limit Ke Baad Kiye Gaye Transaction Par Lagega Yeh Charge.