Cricket Commentary Marathi Me Kyon Nahi? MNS Leader Aur Workers Pohanche Hotstar Ke Mumbai Office Me
India Vs England Ke T20 Match Ka Live Telecast Hotstar Par Kiya Jaa Raha Hai, Jisme Hindi, English, Haryanvi, Bhojpuri, Tamil, Telugu, Bengali Aur Kannada Jaise Bhashaon Me Commentary Ka Option Hai. Lekin Marathi Bhasha Ka Option Nahi Diya Gaya.
View this post on Instagram
Contents
Cricket Commentary Marathi Me Kyon Nahi? MNS Leader Aur Workers Pohanche Hotstar Ke Mumbai Office MeIndia Vs England Ke T20 Match Ka Live Telecast Hotstar Par Kiya Jaa Raha Hai, Jisme Hindi, English, Haryanvi, Bhojpuri, Tamil, Telugu, Bengali Aur Kannada Jaise Bhashaon Me Commentary Ka Option Hai. Lekin Marathi Bhasha Ka Option Nahi Diya Gaya.
Iss Baat Ko Lekar Maharashtra Navnirman Sena (MNS) Ke Leader Aur Chitrapat Aghadi Ke Parmukh Amey Khopkar Apne Karyakartaon Ke Sath Mumbai Ke Hotstar Office Pohanche Aur Marathi Bhasha Me Commentary Ki Maang Ko Lekar Sawal Uthaye.
Amey Khopkar Ne Kaha Ki Maharashtra Jaisa Bada Rajya Aur Marathi Janta Ka Cricket Ke Prati Lagav Dekhte Hue Marathi Bhasha Me Bhi Commentary Ka Option Hona Chahiye. Yeh Marathi Manus Ka Adhikar Hai Aur Isse Nazarandaz Karna Aswikar Hai.
MNS Style Me Jawab Mangte Hue, Marathi Logon Ke Adhikar Aur Asmita Ka Mudda Uthaya Gaya.