
Madraso Par Nitesh Rane Ke Bayan Se Siyasi Hungama
View this post on Instagram
Nitesh Rane ne madraso ko lekar vivadit bayan diya, jisme unhone kaha ki madrasas “breeding grounds for terrorists” hote hain aur woh CM Devendra Fadnavis se inhe band karne ki maang karenge. Is bayan ke baad rajya me siyasi tufaan khada ho gaya.
Rane ne ek viral video ka hawala diya jisme ek maulvi bachche ko marte hue dikh raha tha.
Unhone kaha ki agar aisi ghatnayein hoti hain to sakht action liya jayega.
Unka kehna tha ki madraso ki zarurat par sawal uthta hai aur woh CM se inhe band karne ki maang karenge.
Shiv Sena (UBT) ke Sachin Ahir ne kaha ki aise bayan samaj me nafrat failate hain.
Congress ke Aslam Shaikh ne kaha ki agar itne serious aarop hain to saboot diye jayein.
AIMIM ke Waris Pathan ne bayan ko galat batate hue kaha ki madraso ka lamba itihaas hai aur aise shabdon se freedom fighters ka apmaan hota hai.


