MDMA Drugs 476 Grams Value 95 Lakh Ke Sath 2 Interstate Drug Smugglers Ko Pakda Thane ANC Ne
View this post on Instagram
Thane Police Ke Anti Narcotics Cell Ko Khabar Milne Par 1 September Ko Trap Lagakar Mumbra Fortune Heights Apartments Ke Pass Se Ek Drug Peddler Ko Pakda
Pakde Gaye Shaks Ka Naam Tabrez Abujafar Bakshi Bataya Jaa Raha Hai Jiss Ke Pass Se 476 Grams MDMA Drugs Seized Ki Gayi Jiski Value Rs 95.20 Lakh Batayi Jaa Rahi Hai.
Pakde Gaye Aaropi Se Police Ne Pata Lagaya Ke Yeh Drugs Rajasthan Ke Rehne Wale Ejaz Sher Khan Urf Pathan Ne Supply Kiya Hai Jise Virar Ki Ek Hotel Se Trace Karke Pakda Gaya.
Mumbra Police Station Me Narcotic Drugs and Psychotropic Substances Act Ke Tehat Mamla Darj Kiya Gaya Hai.
Under Guidance Of Thane Additional CP Dr. Punjabrao Ugale, DCP Crime Shivraj Patil, ACP (Prevention) Dhanaji Kshirsagar, Senior PI Rahul Maske And Team.