
Mumbra Police Ne 3-Mahine Ki Bachchi Apni Maa Se Milaya
View this post on Instagram
Mumbra se kidnap ki gayi 3-mahine ki bachchi ko police ne 8 din baad safe rescue kar liya hai. Bachchi ko ek be-aulaad couple ne uthaya tha, jo pichhle 8 saalon se bachcha na hone ki wajah se bahut pareshan tha. Police ne dono aaropiyon ko arrest kar liya hai aur bachchi ko uski maa se milwa diya gaya.
Police ke mutabik, yeh ghatna 22 January ki hai. Bachchi ki maa Farzana Mohammad Mansuri (23) apni do betiyon ke saath Khadi Machine Road cross kar rahi thi. Unki badi beti ro rahi thi aur unhe road cross karne mein dikkat ho rahi thi.
Isi dauran ek burqa pehni hui mahila ne madad ka bahana banakar 3-mahine ki bachchi Aafiya ko godi mein liya aur wahan se bhaag gayi.
Assistant PI Tejas Sawant ne bataya ki mahila par parivaar ka pressure tha aur woh bachcha chah rahi thi. Pehle bhi couple do baar Mumbra aaya tha kisi bachche ko adopt karne ke iraade se, lekin safalta nahi mili.
Thane Police Commissioner Ashutosh Dumbre ne kaha,
“Is baar aaropi ne maa ki majboori ka fayda uthaya aur bachchi ko le kar bhaag gayi.”



