
Sambhal Masjid Ke Case Par Status Quo Ka Aadesh Diya, Supreme Court
Supreme Court ne Sambhal, Uttar Pradesh ki Shahi Jama Masjid ke khilaaf chal rahe suit par Monday, 25 August tak status quo ka order diya hai
View this post on Instagram
Yeh faisla Justices P.S. Narasimha aur A.S. Chandurkar ki bench ne kiya, jab unhone Masjid Committee ki appeal suni, jo Allahabad High Court ke order ke khilaaf thi
High Court ne trial court ke us faisle ko uphold kiya tha, jisme Shahi Jama Masjid aur Harihar Temple ke dispute mein survey ka order diya gaya tha.
Masjid Committee ne argue kiya ki November 2024 mein civil judge ka survey order aur uske baad ka doosra survey (24 November) illegal tha, kyunki pehla order hi ex-parte tha aur unhe sunvai ka mauka nahi mila.
High Court ne kaha tha ki suit aur commissioner appointment valid hain. Supreme Court ne Hindu petitioners ko notice issue kiya aur matter ko 25 August tak pending rakha, taki peace aur harmony maintain rahe.



