PM Modi ko chai nahi bechni padti agar Sangh parivar ki soch aur sampatti desh ke liye istemal hoti – Asaduddin Owaisi
View this post on Instagram
Waqf Amendment Act ka fayada batat-te hue PM Narendra Modi ne ek programe me apne bhashan me kaha ke
Agar waqf ki Property ka theek se istemal hota toh muslims navjwano ko punctchar nahi banana padta
PM Narendra Modi ki iss baat ka jawab dete hue AIMIM National President MP Asaduddin Owaisi ne kaha ke Agar sangh parivar ki soch aur sampat-ti desh-hit me istemal ki gayi hoti toh Modi ko chaai nahi bechni padti thi,
Sath hi kaha ke pichle 11 saal me Modi ne gareeb Bhartiyon — hindu ya musalman — ke liye kiya hi kya hai ? 33% Bhartiye bina naukri aur padhai ke ji rahe hain, Waqf ki sampatti-yon ke sath jo hua hai, uski ek badi Wajah yeh hai ki Waqf ka qanoon aur prashasan hamesha se kamazor rakha gaya tha. Modi ka Waqf Amendment Act issko aur bhi kamazor kar dega
#AsaduddinOwaisi, #PMModi, #WaqfAmendmentAct2025, #SanghParivar, #AIMIM, #ModiStatement, #MuslimYouth, #WaqfProperty, #PoliticalDebate, #OwaisiVsModi, #ModiSpeech, #IndianPolitics, #YouthUnemployment, #WaqfControversy, #ModiOwaisiClash