Thane me 10% Water Cut ka ailan kiya Thane municipal corporation ne 5 June se kuch areas me water cut hoga
Thane municipal corporation ne bataya ke Thane area me BMC duwara supply kiye jaane wale areas me 5 June se agle aadesh tak 10 Percent water cut kiya jayega
Thane ka Kisan Nagar, Balkum pada, Panchpakhadi, Louiswadi aur aaspass ka areas affected hoga
Mumbai me bhi 5 June se BMC ne 10 Percent water cut ka ailan kiya hai
Mumbai aur Thane ke kuch areas me paani supply karne wali Lakes ka water level kam hone par yeh faisla liya gaya h