16 hazar 180 Crore Ka Ghota Saamne Aaya – Thane 2 Police Staion Me 5 se Zyada Logon Ke Khilaf Mamla Darj
Safexpay out Company ka Software hack karke Company ke bank acvount se 25 Crore 18 hazar 1 sau 25 rupiye kisi unkwon shaks ne udaa liye
Iss baat ki complaint Thane Shrinagar Police station me mamla darj kiya hai Cr No 148/2023 under section 420, 409, 120 (b) 24 ke tehat
Iss mamle ki investigation karte hue pata chala ke Total amount se 1 crore 39 lakh 19 hazar 264 rupiye Rihyal Enterprises namak company ke HDFC account transfer ki gayi hai
Rihyal Enterprises namak company ki investigation karne par pata chala ke company ka office Navi Mumbai ke Vashi Belapur me hai
Rihyal Enterprises company ke Vashi Belapur office me jaakar investigation me pata chala ke company ke bahut si bank ke sath agreement hai
Police ko yeh bhi pata chala ke Thane Naupada police station ki hadh me Station road par Balganesh Tower ke adress par alag alag fake documents par 5 Logon ne company banayi hai
Rihyal Enterprises company ke staff se investigation karme par 260 alag alag Bank account ka pata chala
Police ne sabhi Bank Account ka statement nikala toh andazan 16 hazar 180 Crore 49 lakh 92 Thousand 4 sau 79 rupiye ka hisab saamne aaya jisme se kuch amount Out of India bhi bheja gaya hai
Thane Naupada Police station me iss mamle ko lekar 5 se zyada logon ke khilaf 1 aur FIR darj ki gayi
Yeh hain woh 5 Naam
1. Sanajy Singh
2. Amol Andhle Urf Amar
3. Kedar Urf Samir Dighe
4. Jitendra Pandey
5. Navin
Naupada Police station me case darj no 294/2023 under section 420, 409, 467, 468, 120 (b), 34 ke sath related IT Act sections
Itne bade Arthik Ghotale ki jaanch Police kar rahi hai