All NewsBreaking NewsMumbai

165 Saal Ka Hua Mumbai Ka Bandra Station – Shuru Hua “Bandra Station Mahotsav”

165 Saal Ka Hua Mumbai Ka Bandra Station – Shuru Hua “Bandra Station Mahotsav”

 

View this post on Instagram

 

Advertisement

A post shared by Gallinews India (@gallinews_com)

Mumbai ka ek sabse purana aur iconic railway station – Bandra Station – is saal apne 165 saal poore kar raha hai. Is khaas mauke par Western Railway ne ek month-long cultural festival ka announcement kiya hai, jiska naam hai “Bandra Station Mahotsav”.

Advertisement

Yeh festival 20 June se shuru hone wala hai , jisme art, culture aur history ka celebration hoga.

Bandra Station ki shuruaat 1867 mein hui thi. Pehle is station ka naam Bandora tha. Yeh station Bombay, Baroda and Central India Railway (BB&CI) ke under chalu hua tha. Station ka design Victorian Gothic architecture mein hai. Yeh ek Grade-I heritage structure bhi hai, matlab ek aisa historic monument jise protect kiya jata hai.

Bandra Station sirf ek railway station nahi hai, balki Mumbai ki history, culture aur local life ka ek aham hissa hai.

bandrastation165, bandramahotsav, mumbaiheritage, westernrailway, bandrastation, culturalfestival, victorianarchitecture, mumbarailway, heritagemumbai, bandrahistory, bandrastationfestival, mumbaievents, indianrailways, historicallandmark, bandracelebration

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button