Ajit Pawar Plane Crash: Mumbai Se Kab Uda Tha Plane, Kab Toota Radar Contact?

Ajit Pawar Plane Crash: Mumbai Se Kab Uda Tha Plane, Kab Toota Radar Contact?
View this post on Instagram
Â
Maharashtra ke Deputy Chief Minister aur NCP chief Ajit Pawar ka chartered aircraft Budhwar subah Baramati mein crash ho gaya. Is dardnaak haadse mein Ajit Pawar samet plane mein maujood kul 5 logon ki maut ho gayi. Haadse ke baad Maharashtra sarkar ne 3 din ke rajkiya shok ka elaan kiya hai.
Aisa bataya jaa raha hai Ajit Pawar ka plane subah 8:10 baje Mumbai se take-off hua tha. Udaan ke lagbhag 35 minute baad, subah 8:45 baje, aircraft ka radar se contact toot gaya.
Plane Baramati airport par landing ki koshish kar raha tha. Flight Radar 24 ke data ke mutabik, pehli baar landing cancel karni padi. Pilot ne aircraft ko dubara runway ki direction mein lane ke liye bada loop (ghumav) liya. Isi dauran radar par signal green se red ho gaya, jo emergency situation ka indication tha.
Landing ke attempt ke waqt plane airport ke paas ek chattan se takra gaya, jiske baad aircraft 3 tukdon mein toot gaya aur usmein aag lag gayi.



