Allahabad High Court ne Sambhal ke school ki tod-phod par lagayi rok, ownership dispute ke chalte diya stay.

Allahabad High Court ne Sambhal ke school ki tod-phod par lagayi rok, ownership dispute ke chalte diya stay.
AdvertisementView this post on Instagram
Sambhal ke Azad Jannat Nisha Girls
School par ownership ko lekar vivad ho gaya. School prabandhak ka kehna hai ki unke pita ne 1979 mein zameen legal tareeke se kharidi thi.
Batadein ki 13 January 2025 mein District Magistrate, SDM, tahsildar, lekhpal aur police adhikario ke saath kai logon ne school par kabza jamaane ki koshish ki, dawaa karte hue ki yeh unki zameen hai. 15 May ko school ka gate aur kuch classrooms tod diye gaye the.
School ke manager Mohammad Shahvez Alam ne dawa kiya ki unke pita ne yeh zameen Nathua alias Ganga Prasad aur Hari Prasad se 8 January 1979 ko ek registered sale deed ke zariye kharidi thi, lekin ab unke vaariso ne is zameen par maalikiyat ka dawa karna shuru kar diya hai.
School ke manager Mohammad Shahvez Alam ne is daawe par court ko bataya ki unke pita ne yeh zameen 8 January 1979 ko registered sale deed ke zariye kharidi thi, aur tab se school chal raha hai.
Ab nazreen Allahabad High Court ne 19 June 2025 ko demolition par stay lagate hue sarkar ko school ki functioning mein dakhal na dene ka adesh diya h.
Ye aadesh Allahabad High Court ke Justice Siddhartha Varma aur Justice Harvir Singh ki bench ne di h.
Court ne kaha ki na school ki functioning roki jaye aur na hi damage kiya jaye.
Aap ko batadein ki Civil rights group (APCR) ne is mamle k baad petition file ki h,
APCR ke vakil, Ghazala Bano aur Maseeh Uddin, ne court mein Shahvez ki taraf se wakalat ki h.
ye kehkar ki communal tension ke baad school ko target kiya ja raha hai..
Jab k sarkar paksh ki baat karein to State counsel ne court ko bataya ki demolition ka abhi koi plan nahi hai, aur agar hua to legal process ke tahat hi hoga.
Dosto High Court ke stay order ke baad school abhi surakshit hai. Ownership dispute aur tod-phod ke mamle par ab legal process chalega.
Aapki is report per kya rai h apne comments hamein zarur kijiye aur more updates k liye Galli news par bane rahiye.
allahabadhighcourt, sambhalschoolcase, schooldemolitionstay, azadjannatnishaschool, ownershipdispute, apcr, communaltargeting, legalrights, mohammadshahvezalam, schoolsafety, justicesiddharthavarma, justiceharvirsingh, highcourtorder, upnews, gallinews