Batti Gull aaj se Maharashtra ke kuch parts me Load Shedding shuru hogi Mumbai Navi Mumbai aur Thane walon ko rahat MSEDCL
Garmi me Bijli ki badhti hui maang aur Domestic Coal ke shortage hone ki wajah se Maharashtra me 2500 se 3000 megawatt Electricity ki shortage horahi hai jise dekhte hue MSEDCL ne aaj se Maharashtra ke kuch ilakon me Electricity Load shedding shuru karne ka announce kiya hai
Ek Minute mai Puri Khabar ke liye Gallinews Short Video Press Link
MSEDCL ne bataya ke filhal Mumbai Navi Mumbai aur Thane ke areas me Load Shedding nahi hogi kyonki iss jagha se Electric supply ke mutabiq bill payment me koi problem nahi hai aur nahi Bijli ki chori ki shikayat hai
Jiss jagaha Bijli ki zyada zaroorat hai aur badle me Bill payment bhi nahi ki jarahi aise illako me Load shedding karne ka announce kiya gaya hai
Load Shedding ka asar sabse zyada Maharashtra ke Vidhrabha, Marathawada aur Khandesh ke ilakon padega