Bhiwandi Mein Shawarma-Pizza Khane Ke Baad 73 Log Hospitalised! Famous Shawarma Outlet Band
Bhiwandi ke Khandu Pada area mein ek suspected food poisoning incident ne hadkamp macha diya hai. Chicken Shawarma, Pizza aur Falooda khane ke baad 73 logon ko hospital mein bharti karna pada, jisme kai parivaron ke sadasya bhi shamil hain.
Shuruaat mein 11 log beemar hue the, lekin Thursday raat aur Friday subah tak mareezon ki sankhya badhkar 73 tak pahunch gayi.
Patients ne police ko bataya ki unhone “Famous Shawarma” outlet se chicken shawarma aur pizza kharid kar ghar par khaya tha, jiske kuch der baad unki tabiyat kharab hone lagi.










