Bihar Me Hua Caste Census Total 13 Crore Ki Aabadi, Backward Class 27 %, Extremely Backward Classes 36%, General 16%
Desh me hone wale 2024 Loksabha Election se pehle Bihar me Jaati Adharit Jan Ganana hui Caste Census bhi kaha jaa sakta hai
PRESS LINK FOR VIDEO
View this post on Instagram
Bihar sarkar ne finally Cast Census ka aankda zahir kiya iske sath hi Bihar ki Total Aabadi bhi saamne aagayi hai
Bihar me hui Jan ganna ke anusar Bihar ki aabadi 13 Crore 7 lakh 25 hazar 3 sau dus hai
13 Crore ki aabadi wale bihar me Backward class log 27 percent, Extremely backward classes log 36 percent, Scheduled Caste 19.65% aur General category ke 16 percent log hain
Castwise baat karen toh Hindu 81.99% aur Muslims 17.70 percent hain baaki Isai, Boudh, Jain, aur dusre dharam ke manne wale hain
Hindu Dharam me Brahmin: 3.65%, Rajput 3.45, Bhumihar 2.86, Kayastha 0.60, Yadav 14.26%, Kushwaha 4.21, Kurmi 2.87, Bania 2.31
Muslims ki baat karen toh Shaikh 3.82%, Ansari 3.54%, Pathan 0.75%, Syed 0.22%, Malik 0.08% Tadad hai
PM Narendra Modi ne Madhya Pardesh ke Gwalior me hue ek programe me bina kisi party ya neta ka naam liye iss Bihar sarkar ki iss Caste census report par kaha ke woh satta me rehte hue bhi Vikas nahi karpaye, Unhone ne Garibon ki bhavnao ke sath khilwad kiya hai, woh tabh bhi garibon ki bhavnaon ke sath khelte they woh aaj bhi khel rahe hain, unhone pehle bhi desh ko zaati ke naam par baanta tha woh aaj bhi desh ko zaati ke naam par baant rahe hain