BJP NDA Sarkar Ne Bihar Aur Andhra Pradesh State Ko Special Status Toh Nahi Diya Lekin Budget Me Mila Special Fayda

BJP NDA Sarkar Ne Bihar Aur Andhra Pradesh State Ko Special Status Toh Nahi Diya Lekin Budget Me Mila Special Fayda
Lok Sabha election me BJP ko kam seat par jeet milne ke baad Bihar aur Andhra Pradesh ke CM ki help se NDA sarkar bani, jiske baad dono hi state ki Special State status ki maang ki charcha ho rahi thi jo filhal toh nahi mila.
AdvertisementView this post on Instagram
Lekin Union Finance Minister Nirmala Sitharaman ne Budget 2024 me Bihar aur Andhra Pradesh ke liye special ghoshnayen ki.
Iss budget ke Puravodaya Scheme ka ailan kiya gaya jisme eastern states ke development par focus kiya jayega.
Iss scheme ke zariye kendra sarkar Bihar, Jharkhand, West Bengal, Odisha aur Andhra Pradesh ke human resource development aur infrastructure development par special dhyan degi.
Bihar me 3 expressways ke saath special Industrial corridor banaya jayega, saath hi power plants, airports aur religious corridors banane ka bhi plan hai. Aise hi Andhra Pradesh me bhi vikas kaamo ke liye special pravadhaan hai.