Bombay High Court ka naam Maharashtra High Court kiya jaye PIL reject kiya Supreme Court ne
Former judge VP Patil ne Bombay High Court ka naam Maharashtra High Court karne ke liye Supreme court me PIL file kiya tha jiski sunwai karte hue Thursday ko bench of Justices Aniruddha Bose aur Justices Vikram Nath ne reject kar diya
Ek Minute mai Puri Khabar ke liye Gallinews Short Video Press Link
India ke 4 chartered High court me se ek hai Bombay High Court jiski sthapna British hukumat ke daur me Queen of England ke Letters Patent issue karne se hui thi
Issliye iska naam woh hi rahega jiss naam se iski sthapna ki gayi thi
1995 me Bombay ka naam badalkar Mumbai kiya gaya jiske baad Bombay High Court ka naam bhi badalkar Mumbai High Court karne ke liye 2016 me Parliment me Bill pesh kiya gaya tha jo pass nahi ho paaya