Bullet Train 2026 Tak Shuru Hosakti Hai, Railway Minister Ashwini Vaishnaw Ka Aaya Bayan
Desh ki pehli Bullet Train chalaye jaane ka kaam zoron shoron par chal raha hai aisa mana jaa raha hai ke year 2026 ke July – August tak Mumbai se Ahmedabad ke darmiyan chalayi jaane wali Bullet Train shuru ki jasakti hai
GALLINEWS SHORTS NEWS
Railway Minister Ashwini Vaishnaw ne bataya ke Mumbai se Ahmedabad Bullet Train route ke beech Surat to Bilimora section me bullet service 2026 tak shuru ki jaa sakti hai, uske baad aage ka kaam poora hone par aage ki service shuru hogi
Ashwini Vaishnaw ne aaj Mumbai me chal rahe Bullet Train line ke kaam ka jayza liya aur Vikhroli Tunnel ke sath bullet train route ke aakhri station BKC ke kaam ka bhi jayza liya
Mumbai To Ahmedabad jab Bullet Train shuru hogi toh 320 Kmph ki speed se yeh safar lagbhag 3 Hrs ka hoga