Covid Parol par gaye 451 Doshi ab tak nahi laute Maharashtra ki jails me
Covid19 Outbreak ke dauran Maharashtra ki jail me bheed kam karnr ke liye aise qaidi jinka undertrials chal raha tha aur aise doshi qaidi jinki saza 7 saal ya uss se kam thi ko state government ne emergency parole manzoor kiya tha jiss se jail me Covid19 cases na badhe
GALLINEWS SHORTS NEWS PRESS LINK
Khabron kr anusar abtak 451 Doshi ab tak jail nahi laute jinhe Covid parol par bheja gaya tha
Mili jankari ke mutabiq march 2020 tak Maharashtra ki jails se lagbhag 14780 qaidiyon ko Covid parol par bheja gaya tha jisme 4,237 convicts bhi shamil they
Pichle saal 2022 ke May month me Maharashtra home department ne ek order jaari kar sabhi Covid parol par gaye absconding convicts ko jail laut aane kaha tha sath hi jail authorities ko order diya kiya tha ke absconding convicts ke khilaf Case draj kiya jaye
Pichle kuch month se absconding convicts ko trace kiya jaaraha hai jail authorities ne pichle 7 months me absconding convicts ke khilaf 357 FIR darj kiya hai