Credit Cards, Home Loans Dene Ke Bahane Logon Ko Phansane Wale 11 Logon Ki Gang Mumbai Police Crime Branch Unit 3 Ke Giraft Me
South Mumbai Agripada Police station me ek faryadi ne shikayat darj kiya ke usko Credit Cards, Home Loan dilane ke naam se uske documents par bogus IT return, Gumasta License, Bussness card jaise kagazat banakar banks se paise utha liye kuch logon ne
Agripada Police ne complaint milne par FIR darj kiya Cr No 515/2023 under section 420, 419, 465, 467, 468, 471, 120 (b)
Iss case ko jaanch Mumbai Police Crime Branch Unit 3 ne alag alag team bankar shuru kiya
Police ne Mumbai ke alag alag jisson se jaie Mulund, Bhandup, Kurla, Wadala area se iss case me shamil 7 aaropiyon ko arrest kiya jiske baad police introgation me aur logon ke shamil hone ki baat saamne aayi
Police ne bataya ke iss mamle me 2 Mahila bhi shamil hai ek 29 saal ki aur ek 44yrs ki jinke sath Manoj Chimanlal Pareta namak 44 yrs old shaks ko aur Bhavesh Vishwanath Shirsat namka 48 yrs old shaks ko arrest kiya gaya
Police ne pakde gaye logon ke pass se Fake IT returns, TDS forms, fake light bills, fake company Flex banners, fake rubber stamps alag alag companies ke aur CAs, ke, Credit cards, 10 swipe machines, customer ke naam ke 56 SIM cards, Computer CPU, Aadhaar cards, PAN cards, 14 mobile phones, LED TV aur Cash Rs.60,000/- baramad kiya
Investigation me pata chala ke yeh logon me ek hi commercial aur residential premises par alag alag Custumers ke naam se business documents, light bills, IT returns, TDS forms, Aadhaar cards jaise bogus documents banate aur Home Loan ya Credit Cards loan le lete
Police ne yeh bhi bataya ke jab verifaication ke liye Bank Employee aata tha tabhi Iss gang ki Mahila khud ko customer ka employee batakar verification process poora kara leti thi
Iss tarah Banks ko Lakhon Rupiye ka chuna lagakar yeh logon ne logon ka farzi documents par 200 se zyada Credot Cards hasil karne ki baat saamne aayi hai
Pakde gaye logon me kuch history sheeter hain jinke khilaf Mumbai Thane Navi Mumbai Police station me pehle bhi mamla darj hai
Under Guidance of Mumbai Cp Vivek Phansalkar, Special Cp Deven Bharti, Joint Cp (Crime) Lakhmi Gautam, Additional Cp (Crime) Sasikumar Meena, Dcp (Prevention) Amogh Gaonkar, Dcp Raj Tilak Roshane, Acp (Central) Dattatraya Nale
Crime Branch Unit 3 Senior Pi Deepak Surve, Pi Nisarga Otari, Psi Prakash Linge, Sameer Mujawar and police team