All NewsBreaking NewsMumbai

Delhi Riots Mai 11 Muslim Ladko Ko Bari Kiya Gaya, Court Ne Police Ki Bhumika Par Sawal Uthaye Aur Mamle Ko Kharij Kiya

Delhi Riots Mai 11 Muslim Ladko Ko Bari Kiya Gaya, Court Ne Police Ki Bhumika Par Sawal Uthaye Aur Mamle Ko Kharij Kiya

Jamiat Ulama I Hind ke Adhyaksh Maulana Asad Madni ne Jamiat ke Vakilo ki kanooni ladai ki Sarhani ki

GALLINEWS SHORTS PRESS LINK 

Nayi Delhi mai 2020 mai hue Riots mai Hatya ke 11 aroopiyo ko Court ne baari kar diya

11 Aaroopiyo par Delhi ke Gokulpuri ilake mai ek mithai ki dukan mai kaam karne wale 22 saal ke Dilbar Negi ki hatya ka aaroop tha

Advertisement

Dilbar Negi uttarakhand ka rehne wala tha ,Dange ke dauraan bhid ne jab mithai ki dukan par humla Kiya toh waha dukan mai Dilbhar Negi maujood tha, Dangayio ne pehle us par humla kiya aur Dukan mai aag laga di,jis se uski jalkar maut ho gayi

Session Judge ki Adalat ne Mamle ki sunwayi ke dauraan police ki bhoomika par hi sawal uthate hue case ko sire se kharij kar diya aur kaha ki Police ne itne serious aur bhayanak mamle mai jimmedari nahi dikhayi

Asli doshiyo ki pehchan aur unhe Giraftari karne ke bajaye nirdosh logo ko pakad kar khanapuri ki hai

Advertisement

Maulana Mehmood Asad Madni ne kaha Dilbhar Negi ki saath Jo hua woh bahut hi dard naag hai

Police aur Jaanch agency’s agar imaandari se kaam karti toh Dilnbhar Negi ki Dardnak hatya karne walo ki sahi se pehchan hoti aur Nirdosh logo ko giraftar nahi kiya jaata

Jamiat Ulema e Hind ke Kanoni mamle dekhne wale Maulana Niyaz Ahmed farooki ne bataya ki Jamiat ke koshish se ab Tak Delhi riots se judhe 33 log baizzat Bari ho chuke hai, aur trai se pehle 584 logo ko Jamanat Dilane mai kamyabi mili di

Mamle ki Pairvi Jamiat Ulema Hind ke Adhyakh Maulana Asad Madni dwara appoint kiye gaye advocate Abdul Ghaffar aur Adv Salim Malik kar rahe the

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker