Dengue, swine flu ke cases badhe Mumbai me BMC ne bataya zyada baarish hai wajah
BMC ne apni epidemiology weekly report Tuesday ko pesh kiya jisme bataya gaya ke extended monsoon ke chalte swine flu and dengue cases Munbai me badh gaye hain
Ek Minute mai Puri Khabar ke liye Gallinews Short Video Press Link
BMC ne bataya ke iss October month me ab tak 178 cases dengue ke aur 13 cases Swine Flu ke darj kiye gaye hain
BMC record ke mutabiq 2020 me Dengue ke 129 cases darj hue they 3 deaths ke sath aur 2021 me Dengue ke 876 cases darj hue they 5 deaths ke sath aur iss saal ab tak 746 cases darj ho chuke hain 2 deaths ke sath
Swine flu ki baat karen toh 2020 me BMC ne 44 Swine Flu ke cases darj kiye they aur 2021 me 64 jo iss saal ab tak badhkar 325 hogaye hain
BMC ke chief executive health officer Dr Mangala Gomare ne Mumbaikars se kaha hai ke dono hi flu cases me apna khayal rakhte hue precautionary measures lena bahut zarori hai logon ko doctor se consult karna chaiye
Swine flu aur Dengue ke sath 19 cases of hepatitis aur 161 gastroenteritis infections ke bhi darj kiye gaye hain
Take Care Mumbaikar