All NewsBreaking NewsMumbai

Devi-Devtao Par Muslim Tailors Dwara Banaye Gaye Dresses Par Koi Pabandi Nahi: Banke Bihari Mandir Trust

Devi-Devtao Par Muslim Tailors Dwara Banaye Gaye Dresses Par Koi Pabandi Nahi: Banke Bihari Mandir Trust

 

View this post on Instagram

 

Advertisement

A post shared by Gallinews India (@gallinews_com)

Mathura Ki Shahi Idgah Masjid Vivad Ke Yachikarta, Shri Krishna Janambhumi Sangharsh Nyas Ke President Dinesh Falahari Ke Ek Proposal Ko Vrindavan Ki Banke Bihari Mandir Trust Ne Khaarij Kar Diya Hai.

Advertisement

Dinesh Ka Idea Tha Ki, ‘Kisi Bhi Ghair-Hindu Ke Haatho Se Krishna Ji Ki Murti Par Koi Bhi Poshak Ya Dress Nahi Pehnaya Jaa Sakta’

Wahi Dusri Or, Banke Bihari Mandir Trust Ke Gyanendra Kishor Goswami Ne Is Appeal Ko Kharij Karte Hue Kaha, “Hamare Yaha Devi-Devtao Ko Bhet Chadaye Jaane Waale Dresses Muslim Karigaro Se Hi Banke Aate Hai. Kapda Saaf Hona Chahiye, Ye Zaruri Hai. Kapda Bunne Wala Kaunse Dharm Ka Hai, Ye Zaruri Nahi.”

Wahi Ek Dusre Pujari Ka Kehna Hai Ki, ‘Shuruat Se Hi 99% Dresses Muslim Tailors Se Hi Banke Aate Hai. Jo Log Aaj Ye Maang Lekar Aaye Hai, Wo Muslims Ko Maali Nuqsan Pahunchana Chahte Hai, Aur Ye Is Mandir Ki Parampara Ke Khilaf Hai.’

Ab Is Mamley Ki Aagey Ki Janch, Vrindavan Ke DM Rakesh Kumar Karenge.

Mathura, Vrindavan, BankeBihariMandir, ShriKrishnaJanambhumi, ShahiIdgahMasjid, HinduMuslimUnity, MandirPoshak, TraditionalWeaving, ReligiousHarmony, IndianCulture, SpiritualHeritage, TempleDressmakers, MathuraNews, VrindavanUpdates, HinduDharma, ReligiousEquality, IndianTailors

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button

Adblock Detected

Please consider supporting us by disabling your ad blocker