Digital Arrest mamle me Senior Citizen se Rs 1.72 Crore lootne wale 2 logon ko Pune se arrest kiya Mumbai Police ne

Digital Arrest mamle me Senior Citizen se Rs 1.72 Crore lootne wale 2 logon ko Pune se arrest kiya Mumbai Police ne
View this post on Instagram
Advertisement
Desh bhar me Digital Online fraud se logon ko lootne ka kaam zoron par jaari hai jiss se bachne ke liye sarkar ne Mobile caller tune par alert message chalana shuru kiya hai
Mumbai me hue 1 Digital Arrest Scam mamle me Senior Citizen se Rs 1.72 Crore loot liya gaya tha jiski complaint milne par Mumbai Cyber Cell Central Unit ne investigation shuru kiya tha
Mumbai Cyber Cell Central Unit ne iss mamle ki jaanch kartr hue pune ke Fursungi area se 2 logon ko arrest kiya jinke naam Ajay Sunder Divekar (40yrs) aur Nitin Atmaram More (41yrs) bataye jaa rahe hain
Khabron se mili jankari ke anusar iss Digital Arrest Scam mamle me loote hue paison me se 30.90 Lakh Ajay ke bank account me transfer hue they aur Nitin ne apna bank account allegedly rent par de rakha tha jise Rs 15 hazar commission mila tha
Police iss mamle ki jaanch kar rahi hai iss case me aur bhi logon ke pakde jaane ki sambhavna hai
#digitalarrestscam, #onlinefraud, #mumbaipolice, #cybercrime, #seniorcitizenfraud, #punenews, #cybercellaction, #fraudarrest, #digitalcrime, #indiafraudnews