Diwali Par Mumbai Mein Patakhon Se Aag Lagने Ki 200 Ghatnayein, Dongri, Marol Aur Vidyavihar Mein Bhishan Aag; BMC Ne 25 November Tak Rockets Par Lagayi Pabandi.

Mumbai mein Diwali 2026 ke dauran patakhon ki wajah se aag lagne ki ghatnaon mein bada izafa hua.
BMC ke aankdon ke mutabiq, 6 se 9 November ke beech Mumbai mein aag lagne ki 282 ghatnayein saamne aayi, jinmein 200 ghatnayein patakhon se judi thi. Iske muqable 2024 mein 80 aur 2025 mein 113 aisi ghatnayein darj hui thi.
Sirf 8 November ko Mumbai Fire Brigade ko 142 fire calls mile, jinmein se 137 patakhon ki wajah se the. Is dauran Dongri ke Haji Kasam Chawl, Marol ke Military Road aur Vidyavihar ki Skyline commercial building mein bhishan aag lagi.
Dongri mein aag par kabu paane mein fire brigade ko lagbhag 9 ghante lage.
In ghatnaon ke baad BMC ne 9 November se Mumbai mein rockets aur doosre hawa mein udne wale patakhon par 25 November 2026 tak pabandi laga di.
Ye pabandi public aur private jagahon, buildings ki terraces, balconies, parking areas aur slum areas par bhi lagu hai.
Halanki, ye pabandi sabhi tarah ke patakhon par nahi hai.
BMC ne fire safety ko dhyan mein rakhte hue logon se ehtiyat baratne aur zimmedari ke saath Diwali manane ki appeal ki hai.
Mumbai mein har saal Diwali ke dauran aag lagne ki ghatnayein saamne aati hain. Aakhir patakhon ke istemal par sakhti aur safety rules ko lekar aur kitne kadam uthaye jaane chahiye? Is maamle mein aapki kya rai hai? Apni rai comments mein zaroor batayein aur more updates ke liye Galli News par bane rahiye.