Ek baar phir hui mob lynching,Jharkhand mein ek Musalman ko bheed ne bedardi s pit pit kar maar dala.
View this post on Instagram
Jharkhand ke zila saraikela khar-saawa ke Supra Gaon mein 48 saal ke Sheikh Tajuddin ko Gaon k kuch hinduo ne lathiyon s itna pita ke Tajuddin buri tarah zakhmi ho gaye aur 6 din ke baad Tajuddin ka intakal ho gaya.
Lekin gaon ki bheed Ne Tajuddin ko mara kyon ? Aaiye jante h.
Darasal Ghar walon ka ilzaam hai ke Tajuddin Sheikh per hamla sirf is baat per hua Hai kyunki unk chehre par dadhi thi aur unho n topi pehni thi yaani saaf h k wo musalmaan h.
Gharwalon ne bataya ki Tajuddin har subah Ki tarah hadse ke din bhi fajar ki namaz padhne Masjid gaye the takriban 10 baje gharwalo ko Adityapur police station s phone aaya ki unke pitaji haadse ka shikar ho gaye hain aur unhe TMH mein ilaaj ke liye bheje gaye hain.
Tajuddin par ilzaam lagaya gaya k unho n Janwar chori kiye the, lekin Ghar walon ka kahana hai ki Tajuddin janwar aur sabziyon ke taajir the. Aur Aisa unhone kuchh bhi nahin kiya tha.
Is mamle mein ghar walon ne amAdityapur Thane mein FIR darj karvai jiske baad shak k ghere mein Aaye Mannu Yadav, chila Yadav, Sanjay Yadav aur Gautam Mandal Ko girftar kiya Ja chuka hai.
Is mamle m Tajuddin Sheikh ke bhatije ka kehna h ki unke chacha bahut hi ibadat Guzar the Jo kabhi kabhar masjid mein Azaan bhi dete the.
Unhen unke mazhabi hone dadhi aur topi ke wajah se mara gaya hai.
Aapko bata de ki Tajuddin Sheikh ko Jamshedpur ke Zakir Nagar kabristan mein dafna Diya gaya hai.
Hamari report per comments zarur kijiye aur more updates ke liye Galli News per bane rahiye.