Ganpati Mandals Ko Mandap Banane Ke Liye BMC Online Permission 7 August Se Shuru Kar Rahi Hai, Rs 100 Fees Dena Hoga

Ganpati Mandals Ko Mandap Banane Ke Liye BMC Online Permission 7 August Se Shuru Kar Rahi Hai, Rs 100 Fees Dena Hoga
Har Saal Ki Tarah Iss Saal Bhi BMC Ne Mumbai Me Ganpati Mandals Ko Mandap Banane Ke Liye One Window Scheme Ke Tehat Permission Dene Ka Process 7 August Se Shuru Kar Rahi Hai.
AdvertisementView this post on Instagram
Iss Saal Maharashtra Sarkar Ke Order Ke Anusar Jiss Mandal Ne Pichle 10 Saal Se Ganpati Mandap Permission Liya Hai Aur Ab Tak Ek Bhi Complaint Nahi Hai, Aise Mandal Ko 5 Saal Ke Liye Permission Di Jaayegi, Lekin Har Saal Permission Renewal Karna Hoga.
BMC Ne Bataya Ke Sarvajanik Aur Private Places Par Ganpati Baithane Walon Ki Permission Request Ki BMC Ward Officer Scrutiny Karenge Jiske Baad Traffic Police Aur Local Police Station Se No Objection Certificate Milne Par Permission Diya Jayega.
Private Places Me Ganpati Mandap Banane Walon Ko Land Owner Ya Society Ka NOC Dena Hoga.
Iss Saal 7 September Se Shuru Hoga Ganesh Chaturthi Festival Jiske Liye Mandal 7 August Se Online Permission Apply Kar Sakte Hain.